Skip links

60 on 60! Celebrating Aamir Khan’s 60th bday with 60 top dialogues of the actor

It`s been over three decades since Mr. Perfectionist Aamir Khan has been entertaining us with his mind-blowing movies. Along with his amazing films, he has also given us several iconic dialogues. If we were to pen down all of them, we could easily fill books!

So, to celebrate Aamir Khan`s 60th birthday, we decided to list 60 dialogues of the actor that live in our hearts rent-free.

Fanaa

Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise … hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise

Dhoom 3 

Bande hain hum uske, hum pe kiska zor … umeedo ke suraj, nikle chaaron aurr … iraade hai fauladi, himmati har kadam … apne haatho kismat likhne, aaj chale hain hum

Fanaa

Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai … koi humse bhi mohabbat kare … kambhakt neend bahut aati hai

Raja Hindustani

Aap ki aankhen meri taxi ki headlight ki tarah hai memsaab

Fanaa

Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna … aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna

Mann

Saanson ke bina shayad kuch pal main jee sakta hoon … lekin tumhare bina nahin

Fanaa

Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai … mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai

Dhoom 3 

Maskarre ka khel dhokhe ka khel hota hai … jis mein audience ko lagta hai ki jeet unki ho rahi hai … lekin jeette hum hai, hamesha

3 idiots 

Aal izz well … Aal izz well

3 Idiots 

Exam toh bahut hote hai, baap mostly ek hi hota hai

Raja Hindustani

Jab do barabar ke log ek doosre ko kuch dete hai toh woh tofha kehlata hai … lekin jab koi rayees kisi gareeb ko kuch deta hai toh wahi cheez bheek kehlati hai, madad kehlati hai

Ishq 

Aap hai gul-e-gulzar, mausam-e-bahar … chehre par hai gussa, dil mein hai pyar … aa gale lag ja mere yaar

Ishq

Life mein teen cheezon ke peeche khabi nahi bhagna chahiye … bus, train aur chokri … ek gayi doosri aati hai

Rang De Basanti 

Zindagi jeene ke do hi tarike hote hai … ek jo ho raha hai hone do, bardaasht karte jao … ya phir zimmedari uthao usse badalneki

Raja Hindustani 

Kehdo uss bade baap ki beti se ke uske samaaj mein shaadi byah ek khel hoga, joh kagaz pe kiye hue dastakhat se bhi toda ja sakta hai … lekin hamare samaaj mein hum usse puja mante hai … agni ke saath pheron ke baad yeh bandhan atoot ho jata hai

Andaz Apna Apna

Bhabhi hogi teri aur shaadi hogi meri

Fanaa

Tumhari khoobsurati ne khuda se khatta kara di … kahin khud se nazar na lag jaye … yunkar tumhe nazar na di

PK 

Humra gola par log jhoot nahi bolta hai

Dhoom 3 

Hoshyari, tarkieb aur dokha … teeno mil jaaye toh log usse jadoo samajhte hai

3 Idiots 

Kiss ho nahin paati yaar … kyun ki naak beech me aa jaati hai

3 Idiots 

Main toh aapko yeh padha raha tha ki, padhate kaise hai

Rang De Basanti 

Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai … joh desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai

Sarfarosh 

Phool khilte hai, bahaaro ka samaa hota hai … aaise mausam mein hi toh pyar jawan hota hai … dil ki baaton ko hooton se nahi kehte … yeh fasaana toh nighahon se bayaan hota hai

Lagaan 

Mohe toh wohi chori pasand aavegi, joh mori mai ko pasand aavegi

Ghajini 

Bas ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jayegi … ab toh bas uljhan hai saath mere, neend kahan aayegi … subah ki kiran na jaane kaunsa sandesh layegi … rim jhim si gungunayegi ya pyas adhoori reh jayegi

Andaz Apna Apna 

Jab dil tootta hai toh uska asar seedha dimag par hota hai

PK 

Kaun Hindu, kaun Musalman … thappa kidhar hai dikha … ye farak bhagwan nahi tum log banaya hai … aur yahi is gola ka sabse danger wrong number hai

Taare Zameen Par

Duniya mein aaise aaise heere paida huye hai, jinhone sari duniya ka naksha hi badal diya … kyun ki yeh duniya ko apni alag nazar se dekh paaye

Ghajini 

Vishvas aur ghamund mein bahut kum farak hai … main kar sakta hoon, yeh mera vishvas hai … sirf main hi kar sakta hoon, yeh mera ghamund

PK

Shaadi byah mein pataka phodke band baja bajake … kahe poore shehar ko bataya jaata hai ki aaj I am having sex?

Andaz Apna Apna 

Shakal se to bidi ke kharkhane ka mazdoor lagta hai … saala choosa hua aam

Ishq

Abhe oh ujhdi hui riyasat ke lutte huye sultan

Dil 

Woh aake gire hum pe bijli ke khambe ki tarah … khuda ki kasam current kha ke mazaa aa gaya

PK 

Jaise deewar pe bhagwan ka photo lagate hai na, taaki kauno moote nahi … hum iyaan lagata hoon, taaki kauno peete nahi

Dangal 

Agar silver jeeti toh aaj nahi toh kal log tanne bhool javenge … gold jeeti toh misaal ban javegi … aur misaalein di jaati hai beta, bhooli nahi jaati

PK

Bhagwan se baat kare ka communication system ye gola ka … total lul ho chuka hai

Taare Zameen Par 

Khayal karna bahut zaroori hai … is mein ilaaj ki shakti hai … ek marham hai jisse dard mitta hai

PK 

Apne bhagwan ki raksha karna band karo … nahi toh is gola mein insaan nahi sirf joota reh jayega

Mann 

Tumhare bagair jeena kya … jeene ka khwab bhi nahin dekh sakta

Taare Zameen Par 

Har bachche ki apni khoobi hoti hai, apni kaabiliyat hoti hai, apni chahat hoti hai

Dangal

Gold toh gold hota hai … chhora lave ya chhori

Ishq 

Yeh kaunsa tha jaam joh tune pila diya … is sirphere ka sara system hila diya

Sarfarosh 

Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage … mere khuda kisiko pyar ki hawa na lage

PK

Iyaan toh bolte kuch hai aur matbal kuch aur nikalta hai

Mangal Pandey 

Aaj tak aapne hamari wafaadari dekhi thi … ab hamara krodh dekhiye

Dil Chahta Hai 

Mujhe yakeen hai ki main sirf is liye janma hoon … ki tumse pyar kar sakun … tum sirf is liye, ki ek din meri ban jao

Mela 

Uske gaal, uske baal arre kya kamaal … aur uski chaal karde halaal … uski kalai hai ram duhai, pure malai … aur uska badan phoolon ka chaman … aur uski aankhen sone ke button

Andaz Apna Apna 

Yeh aap idhar idhar kya dekh rahe hain … udhar idhar dekhiye, udhar idhar

Dangal 

Apni matti ki hamesha izzat karna … kyun ki jitni izzat tum matti ki karogi … utni hi izzat matti se tumhe milegi

Mela 

Dost dost na raha, pyar pyar na raha … daru ke sivah zindagi mein koi karobar na raha

Sarfarosh 

Main apne mulk ko apna ghar samajhta hoon

Lagaan 

Chulhe se roti nikale ke liye, chimte ko apna mooh jalahe padi

Andaz Apna Apna

Aap purush hi nahi … mahapurush hai!

Akele Hum Akele Tum

Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai … ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai

PK 

Ek baar gaya hoon moon pe … bahut hi lul place hai

Delhi Belly 

Joh chuaka udhte hue jaaye … usse chakka kehte hai

Qayamat Se Qayamat Tak 

Doobte huye suraj ki kiranon mein … har khoobsurat cheez aur bhi khoobsurat lagne lagti hai

Secret Superstar

Tum jaise talented bache hote hai na woh sode mein is bubbles ki tarah hote hai … ek ke baad ek woh aise hi upar aate hai … apne aap … unhe koi nahi rok sakta

Dil 

Ladki thi jawaan, mamla tha sangeen … jana tha Japan, pahunch gayi Cheen

Leave a comment